hairat-zada main un ke muqabil mein rah gaya jo dil ka muddaa tha mere dil mein rah gaya khanjar ka war karte hi qatil rawan hua arman-e-did dida-e-bismil mein rah gaya jitni safa thi sab rukh-e-jaanan mein aa gai jo dagh rah gaya mah-e-kaamil mein rah gaya ai mehrban dasht-e-mohabbat chale chalo apna to pa-e-shauq salasil mein rah gaya wahshat-faza bahut thi hawa dasht-e-qais ki parda kisi ka parda-e-mahmil mein rah gaya 'mahrum' dil ke hath se jaan thi azab mein achchha hua ki yar ki mahfil mein rah gaya