ham-nashin raat hai to raat bhi dhal jaegi subh-dam surat-e-haalat badal jaegi hiddat-e-shauq salamat hai to zanjir-e-jafa surat-e-shama kisi roz pighal jaegi un ka dam bharte ho to gham na karo aakhir-kar un pe dam dene ki hasrat bhi nikal jaegi ham-safiro kabhi mitti hai tamanna-e-bahaar ye kisi phul kisi shoale mein dhal jaegi yahi behtar hai ki qurban-e-wafa ho jae jaan agar aaj na jaegi to kal jaegi kis ko malum tha malbus-e-saba mein sarsar aa ke gulshan mein shagufon ko masal jaegi ab ke sawan bhi agar abr na barsa 'akhtar' jo kali shakh pe niklegi wo jal jaegi