hama-tan jalwa-fishan mah-o-charaghan ki tarah

hama-tan jalwa-fishan mah-o-charaghan ki tarah
kaun aaya dil-e-pur-shauq mein mehman ki tarah

gunj uthi gham-kada-e-ruh mein us ki aawaz
khwab mein bahte hue chashma-e-irfan ki tarah

zehn-e-fankar mein manind-e-shuur-e-naghma
safha-e-dil pe hai wo nazm ke unwan ki tarah

zau-fishan mere sanam-khana-e-afkar mein hai
lab-e-masum koi lal-e-badakhshan ki tarah

ahrman ban ke taaqub mein rahi zulmat-e-shab
chhup gaya koi meri ruh mein yazdan ki tarah

barhana-pa-o-sarasima thi tauqir-e-bashar
wo mere sath raha azmat-e-insan ki tarah

mizha aaluda-ba-khun chashm-e-tamanna khun-bar
sina-e-dahr mein hun zakhm-e-numayan ki tarah

ai mere ham-dam-e-dil-gir dua de mujh ko
us ke qadmon pe rahun shakh-e-gul-afshan ki tarah

jal uthi sham-e-tamanna sar-e-mehrab-e-visal
kaun aata hai ye khurshid-e-farozan ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close