hamara to koi sahaara nahin hai khuda hai to lekin hamara nahin hai mohabbat ki talkhi gawara hai lekin haqiqat ki talkhi gawara nahin hai meri zindagi wo khala hai ki jis mein kahin dur tak koi tara nahin hai khuda kya khudi ko bhi aawaz di hai musibat mein kis ko pukara nahin hai sarab ek haqiqat hai aab ek tasawwur yahi zindagi hai to chaara nahin hai hum apni hi aankhon ka parda ulat den haqiqat ko ye bhi gawara nahin hai wo kya un ke gesu sanwarega jis ne gareban bhi apna sanwara nahin hai khuda us se nipte to nipte ki ye dil hamara nahin hai tumhaara nahin hai nazar un ki gosha-nashin hai haya se ishaara nahin ye ishaara nahin hai hamara hai kya jab hamara irada hamara hai lekin hamara nahin hai gareban bahut se hue para para naqab ek bhi para para nahin hai kisi ke liye dil ko sulga ke dekho jahannam koi istiara nahin hai ba-juz 'mazhari' ke sabhi bazm mein hain wahi tere wadon ka mara nahin hai