hamare honTon pe ek muddat se jis ka nauha machal raha hai

hamare honton pe ek muddat se jis ka nauha machal raha hai
ye utra utra udas chehra kabhi hamari ghazal raha hai

ajab nazara-parast dilbar hai tum sunoge to hans padoge
lahu rulata hai aur kahta hai surkh chashma ubal raha hai

jo apni laila se dur bhi hai jise riwayat ka pas bhi hai
koi to hai jo nisab-e-hijran ke sare mani badal raha hai

na aarzu hai na ishq baqi ujad dil mein udas dil mein
jab is pe kuchh bhi nahin bacha hai to kahe sala uchhal raha hai

nazar haqiqat-shanas jis din milegi us roz jaan loge
hamari aankhon ke ratjagon mein ye khwab nain hai jo pal raha hai

wo ek lamha jise taqaddus ki zad mein aa kar main kho chuka hun
wo ek lamha meri hawas ko hazar raaton se khal raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close