hamare lahje mein behtar hai inkisari ho magar zaban pe jo baat aae sab pe bhaari ho kisi ko thes na pahunche ye apni koshish hai magar lage jo kisi dil pe zarb kari ho rah-e-hayat mein shayad hi wo maqam aae ki naghma-ha-e-junun par sukut tari ho wafa ka zikr agar aae us ki mahfil mein to baat jo bhi ho jaisi ho bas hamari hai tamam-umr guzari hai us ki khidmat mein hamare nam ka sikka adab mein jari ho tere karam se hamesha hi khush raha 'anwar' mere khuda na kabhi lab pe aah-o-zari ho