hamare sanwle kun dekh kar ji mein jali jamun laga phika sawad us ka nahin lagti bhali jamun sarapa aaj namkini o narmi o gudazi sun hua ye sanwla goya namak mein ki gali jamun lage hai tursh zahir mein pe hai ye sanwla mitha maze-dari mein hai goya ye misri ki dali jamun tumhaare rang ki tamsil us kun dun to khul jawe khushi sin sanwari ho kar ke koyal ki kali jamun kya ram sanware nen 'abru' kun dekh kar pani laga barsat ka mausam dekho yaro chali jamun