hamare sath umid-e-bahaar tum bhi karo is intizar ke dariya ko par tum bhi karo hawa ka rukh to kisi pal badal bhi sakta hai us ek pal ka zara intizar tum bhi karo main ek jugnu andhera mitane nikla hun rida-e-tira-shabi tar tar tum bhi karo tumhaara chehra tumhein hu-ba-hu dikhaunga main aaina hun mera e'tibar tum bhi karo zara si baat pe kya kya na kho diya main ne jo tum ne khoya hai us ka shumar tum bhi karo meri ana to takalluf mein pash pash hui dua-e-khair mere haq mein yar tum bhi karo agar main hath milaun to ye zaruri hai ki saf sine ka apne ghubar tum bhi karo koi zaruri nahin hai ki sab ki tarah 'faragh' zamane wali rawish ikhtiyar tum bhi karo