hamare shahr mein aane ki surat chahti hain hawaen baryabi ki ijazat chahti hain parindon se dar-o-diwar khali ho gae hain meri aankhen nagar ko khubsurat chahti hain likhe bhi jao lauh-e-khak par naqsh-e-udasi ki aati saaten harf-e-shahadat chahti hain dilon mein qaid na-asuda sari iltijaen hisar-e-harf mein aane ki mohlat chahti hain zabanon par likhi zakhm-e-zaban ki lazzaten ab dar-o-diwar par rang-e-jarahat chahti hain bahut se khwab in mein dhund ban kar rah gae hain ye aankhen izn-e-girya ki saadat chahti hain