hamari maut ka wahid hai ye gawah badan nahin hai ruh pe koi bhi zakhm-gah badan hamari aankh se zahir ho raushni kaise hamare samne rakkha gaya siyah badan jo gunge logon ki basti mein koi nam liya sunai dene lage mujh ko be-panah badan hamari ruh pe nashtar chubhe udasi ke hazar aahon pe matam-kada hai aah badan use mare hue ghante guzar gae kitne ab aage kya hai nahin hai agar tabah badan main us pe naqsh banaungi apni wahshat ke nai nikalungi tujh se main koi rah badan main andhe logon mein shamil hun un ke jaisi hun so ek shart hi rakkhi gai nibah badan