hamein nasib koi dida-war nahin hota jo dastaras mein hamari hunar nahin hota main roz us se yahin ham-kalam hota hun darun-e-ruh kisi ka guzar nahin hota jala diye hain kisi ne purane khat warna faza mein aisa to raqs-e-sharar nahin hota mohabbaton ke kai ism main ne padh dale ajab tilism hai wa is ka dar nahin hota agar main shab ki siyahi na chir kar niklun koi ujala mera ham-safar nahin hota kisi ke naqsh-e-qadam ki thi justuju warna main is tarah to 'sukhan' dar-ba-dar nahin hota