hamein yaad aawti hain baaten us gul-ru ki rah rah ke nahin hain bagh mein mushtaq hum bulbul ke chah chah ke karega qatl kis ko dekhiye wo tegh-zan yaro chala aata hai apne hath mein qabze ko gah gah ke nasha aisa hua us ki nigah ka jo nahin thamte hamare ashk jate hain chale chashmon se bah bah ke hum us ka muskurana yaad kar ro ro ke hanste hain nahin mushtaq ab bazar ke khandon ke qah-qah ke sukhan mein fakhr apna bin kiye rahta nahin 'naji' use samjhae 'hatim' kis tarah ashaar kah kah ke