hamesha jitne wala kabhi to haara bhi ho mohabbaton mein koi faisla hamara bhi ho main is kinare pe baitha hun aur sochta hun meri giraft mein dariya ka wo kinara bhi ho ye shahr chhodna mushkil to hai magar sar-e-dast kisi ko mera thaharna yahan gawara bhi ho mujhe qubul nahin tohmat-e-dua aur wo ye chahta hai kisi ne use pukara bhi ho main aaftab nahin hun magar kabhi 'shahzad' mere madar mein us shakhs ka sitara bhi ho