hamin pe tang ye waqt-e-rawan hua to kya daraaz aur bhi kar-e-jahan hua to kya ye surkh talwe ye tanhai aakhiri hichki ab is se aage koi karwan hua to kya ye raste hain buzurgon ki khak se raushan so main bhi chal ke yahin raegan hua to kya yahan to shahr hi aatish-fishan ki zad par hai jo apne sine mein thoda dhuan hua to kya ghurur yun hai ki us ke gadagaron mein hun barae khalq main shah-e-jahan hua to kya hamin ne di thi jagah us ko apni palkon mein wo zarra aaj jo koh-e-giran hua to kya jo kar saka na kisi taur mutmain khud ko sawal uthta hai mojiz-bayan hua to kya tamam log samaat se ho gae mahrum tab apna lahja ghazal ki zaban hua to kya 'nadim' aankh mein aansu hai sare aalam ka watan hamara jo hindostan hua to kya