hamraaz hai ai mere sanam raat ka saya poshida dil mein rakhta hai gham raat ka saya furqat mein chita gham ki sulagti hai tumhaare aur kitna sahe zulm-o-sitam raat ka saya ummid ki phuti hai kiran dil mein hamare deta hai sawere ko janam raat ka saya wade se mukar jaana hasinon ki ada hai sunta hai sabhi qaul-o-qasam raat ka saya zulmat ko hiqarat ki nigahon se na dekho kirnon ki adaon mein hai zam raat ka saya tare bhi nazar aate nahin daman-e-shab mein sannata hai aur is pe sitam raat ka saya dil ko hai 'waqar' ek tabassum ki tamanna betab hai dil us pe karam raat ka saya