hangam-e-hawas-kar mohabbat ke liye hai hai jo bhi kashakash wo nadamat ke liye hai jina to alag baat hai marna bhi yahan par har shakhs ki apni hi zarurat ke liye hai milne tujhe aaya hun na milne ke liye hi aamad ye meri asl mein rukhsat ke liye hai aakhir ko yahi kar-gari-e-barf pighal kar maujon ke tawassul se hararat ke liye hai main hath na aane ka hun tere ai zamane yani mera hona teri hasrat ke liye hai main nind ka dar khole hue hun teri khatir har khwab mera teri sahulat ke liye hai wo hai ki nazar aata nahin aur kisi ko wo hai ki faqat meri basarat ke liye hai qudarat hi ko manzur hai kuchh aur wagarna har lamha-e-ainda qayamat ke liye hai imkan ne jo shahr basaya hai wahan par har chashm-e-tamasha nai hairat ke liye hai