hangama-e-khudi se tu be-niyaz ho ja gum ho ke be-khudi mein aagah-e-raaz ho ja had bhi to chahiye kuchh be-e'tinaiyon ki ghaarat-gar-e-tahammul taskin-nawaz ho ja ai sarmadi tarane har shai mein soz bhar de ye kis ne kah diya hai paband-e-saz ho ja ghairat ki chilmanon se aawaz aa rahi hai mahw-e-niyaz-mandi aa be-niyaz ho ja aa mil ke phir banaen mai-khana-e-mohabbat main jura-kash banun tu paimana-saz ho ja sine mein soz ban kar kab tak chhupa rahega unwan-e-raazdari tafsil-e-raaz ho ja ab so chuki ummiden ab thak chukin nigahen jaan-e-niyaz-mandi masruf-e-naz ho ja soz-e-nazar se chhalken naghmat-e-raaz-e-hasti ai uqda-e-taghaful rudad-e-naz ho ja 'ehsan' kash utthen ye rang-o-bu ke parde ai mahfil-e-haqiqat bazm-e-majaz ho ja