haq fath-yab mere khuda kyun nahin hua tu ne kaha tha tera kaha kyun nahin hua jab hashr isi zamin pe uthae gae to phir barpa yahin pe roz-e-jaza kyun nahin hua wo shama bujh gai thi to kohram tha tamam dil bujh gae to shor-e-aza kyun nahin hua wamandgan pe tang hui kyun teri zamin darwaza aasman ka wa kyun nahin hua wo shoala-saz bhi isi basti ke log the un ki gali mein raqs-e-hawa kyun nahin hua aakhir isi kharabe mein zinda hain aur sab yun khak koi mere siwa kyun nahin hua kya jazb-e-ishq mujh se ziyaada tha ghair mein us ka habib us se juda kyun nahin hua jab wo bhi the gulu-e-burida se nala-zan phir kushtagan ka harf rasa kyun nahin hua karta raha main tere liye doston se jang tu mere dushmanon se khafa kyun nahin hua jo kuchh hua wo kaise hua jaanta hun main jo kuchh nahin hua wo bata kyun nahin hua