haq ko humne to sada phulte phalte dekha

haq ko hum ne to sada phulte phalte dekha
tez aandhi mein bhi is shama ko jalte dekha

jin ki aqlim mein hoti hi na thi sham kabhi
aaftab un ki hukumat ka bhi dhalte dekha

ek parbat ki chadhai hai ye ahd-e-hasti
jo chadha daud ke us ko hi phisalte dekha

jin pe chhaya tha raunat ka nasha be-payan
thokaren kha ke bhi un ko na sanbhalte dekha

raunaq-e-bazm to kya laeq-e-mahfil bhi nahin
hum ne apna koi arman na nikalte dekha

kaun hai wo jise ab sae se bhi nafrat hai
hum ne jab dekha use dhup mein chalte dekha

waqt ki baat hai wo qafila-salar hain aaj
gidgidate jinhen dekha hai machalte dekha

kabhi aain ki tauhin gawara kar li
kabhi insaf ka sar hum ne kuchalte dekha

ek jaan aur do qalib the 'musawwir' jo kabhi
aisa waqt aaya ki un ko bhi badalte dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close