haq-mehr kitna hoga bataya nahin gaya shahzadiyon ko baam par laya nahin gaya kamzor si hadis suna di gai koi insaf ka taraazu uthaya nahin gaya main apne sath sath hun wo apne sath sath ham-zad aap hum ko banaya nahin gaya pyale mein pyas aur dariche mein chand tha wo so raha tha mujh se jagaya nahin gaya ek khwab dekhne mein hi hum sarf ho gae angar zindagi ka jalaya nahin gaya har bar chhod aati hun dariya mein lahr ko chullu mein bhar ke mujh se uthaya nahin gaya