haqiqaton ka pata de ke khud sarab hua wo mujh ko hosh mein la kar khayal-o-khwab hua wo apne lams se patthar bana gaya mujh ko visal us ka mujhe surat-e-azab hua saron pe sab ke padi hadson ki dhup magar koi sarab bana aur koi sahab hua azab sab ke mere jism-o-jaan pe naqsh hue mera wajud mere ahd ki kitab hua sukut-e-shahr-e-sitam se asir-e-yas na ho ki yan sakun se hua jo bhi inqalab hua wahi to ek hamara mizaj-dan tha 'razi' jo hum se dur raha aur na dastiyab hua