har baat par na yun hamein ghussa karen huzur kuchh bad-mizaj log hain dekha karen huzur ek din hawa ke khauf se kahne laga charagh mera yun shairi mein na charcha karen huzur jitna junun hai jeb mein bahar nikaliye bazar hai ye ishq ka kharcha karen huzur ab sikh jaen aap un aankhon ki bhi zaban palken jhukaun jab bhi to samjha karen huzur itna hasin phul aur us par ye barhami hum se khata hui hai to shikwa karen huzur jhagda hua hai aaj sitaron ka chand se bola hai kitni bar na chamka karen huzur