har chehre mein us ka chehra dekhega

har chehre mein us ka chehra dekhega
dil jaisa sochega waisa dekhega

aankhon walo socho soch ke batlao
andha khwab mein dekhe to kya dekhega

hasid shakhs ki ek nishani ye bhi hai
jal jaega jis ko hansta dekhega

wo meri tarif kare to hairat kyon
achchha to har ek ko achchha dekhega

sare jism ko aankh bana kar bhi dekhe
phir bhi dekhne wala kitna dekhega

teri aankhen dekhta hun to hairat kyon
jis ko pyas lagegi dariya dekhega

mujh ko dekhne ki khatir 'shahbaz' koi
sab ki jaanib jhuta-muta dekhega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close