har dam duaen dena har lahza aahen bharna un ka bhi kaam karna apna bhi kaam karna han kis ko hai mayassar ye kaam kar guzarna ek bankpan se jina ek bankpan se marna jo zist ko na samjhen jo maut ko na jaanen jina unhin ka jina marna unhin ka marna teri inayaton se mujh ko bhi aa chala hai teri himayaton mein har har qadam guzarna sahil ke lab se puchho dariya ke dil se puchho ek mauj-e-tah-nashin ka muddat ke baad ubharna ai shauq tere sadqe pahuncha diya kahan tak ai ishq tere qurban jina hai ab na marna har zarra aah jis ka labrez-e-tishnagi hai us khak ki bhi jaanib ai abr-e-tar guzarna dariya ki zindagi par sadqe hazar jaanen mujh ko nahin gawara sahil ki maut marna ranginiyan nahin to ranaiyan bhi kaisi shabnam si naznin ko aata nahin sanwarna ashkon ko bhi ye jurat allah ri teri qudrat aankhon tak aate aate phir dil mein ja thaharna ai jaan-e-naz aa ja aankhon ki rah dil mein in khushk naddiyon se mushkil ho kiya guzarna hum be-khudan-e-gham se ye raaz koi sikhe jina magar na jina marna magar na marna kuchh aa chali hai aahat us pa-e-naz ki si tujh par khuda ki rahmat ai dil zara thaharna khun-e-jigar ka hasil ek sher-e-tar ki surat apna hi aks jis mein apna hai rang bharna