har ek sham ka manzar dhuan ugalne laga wo dekho dur kahin aasman pighalne laga to kya hua jo mayassar koi libas nahin pahan ke dhup main apne badan pe chalne laga main pichhli raat to bechain ho gaya itna ki us ke baad ye dil khud-ba-khud bahalne laga ajib khwab the shishe ki kirchiyon ki tarah jab un ko dekha to aankhon se khun nikalne laga bana ke daera yaaden simat ke baith gain ba-waqt-e-sham jo dil ka alao jalne laga