har ek su musallat hain gham ke dhundalke to phir kyon na rah jaen aansu nikal ke hum aaina-e-dahr mein dekhte hain wo rangin zamana ye khunin tahalke kisi ki jafaen are tauba tauba lage dil pe nashtar magar halke halke mohabbat ki manzil bahut pur-khatar hai uthana qadam is jagah tu sanbhal ke khuda ki qasam hain bahut pur-maani ye ashaar 'hasrat' tumhaari ghazal ke