har ek zarre se hai tabani-e-shams-o-qamar paida

har ek zarre se hai tabani-e-shams-o-qamar paida
har ek aaine se hai surat-e-aina-gar paida

zamana band kar deta hai jis par ek dar-e-ishrat
to is ke waste karti hai fitrat lakh dar paida

gadaon ki nazar mein khak hai tauqir-e-sultani
fusun-e-ishq kar deta hai zarron mein nazar paida

nahin kuchh dur ye bhi surma qaumon ki fitrat se
shikasten kha ke bhi kar lete hain fath-o-zafar paida

junun ko chahiyen be-khauf-o-aali-zarf diwane
har ek diwar mein zindan ki ho sakte hain dar paida

haqiqat mein khizan tamir hai fasl-e-bahaari ki
ki dard-e-sar se hoti hai dawa-e-dard-e-sar paida


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close