har gul us bagh ka nazron mein dahan hai goya surat-e-ghuncha jo dekhun to zaban hai goya tak ki tarah sabhi mast pade ainden hain mai-kada ab giraw-e-baada-kashan hai goya chashm hai turk nigah neza o mizhgan tarkash zulf-e-pur-pech ka har halqa kaman hai goya ja bhidata hai hamesha mujhe khun-khwaron se dil baghal-bich mera dushman-e-jaan hai goya 'hatim' ab us ki sabhi munh ki taraf dekhe hain shisha majlis mein yahan pir-e-mughan hai goya