har koi us ka kharidar hua chahta hai garm phir husn ka bazar hua chahta hai dekh lena gham-e-mashuq mein kudhte kudhte kuchh na kuchh ab mujhe aazar hua chahta hai aankh lalchai hui padti hai jis par meri ishq us par mera izhaar hua chahta hai kah do us parda-nashin se teri khatir koi aaj ruswa sar-e-bazar hua chahta hai pan kha kha ke lab-e-baam pe wo aane laga khun hamara pas-e-diwar hua chahta hai kucha-e-yar mein jata hai abas tu 'ghafil' kyun musibat mein giraftar hua chahta hai