har lafz hai nawishta-e-diwar ki tarah sach bolta hai wo mere ashaar ki tarah man hai azim nur ke minar ki tarah ghussa tu kar rahi hai magar pyar ki tarah gar sochiye muhajir-o-ansar ki tarah jazba nahin hai jazba-e-isar ki tarah duniya se pesh aaiye bezar ki tarah pichhe phira karegi talabgar ki tarah khushbu-e-dostan to hawa par sawar hai chalna padega waqt ki raftar ki tarah rishte hue mafad parasti mein mubtala ghar ho gaya hai kucha-e-bazar ki tarah kasa hai is amir ki qismat mein ai 'khalish' jhukta nahin jo shakh-e-samar-dar ki tarah