har masarrat se kinara kar liya hum ne tera gham gawara kar liya chhat gai kuchh sham-e-gham ki tirgi ashk jo ubhra sitara kar liya aankh khulti hi nahin hai jis tarah un ka sote mein nazara kar liya lutf farmaya nigah-e-naz ne apne bas mein dil hamara kar liya ai mere gham-khwar tera shukriya main ne apne gham ka chaara kar liya shab ki tanhai se phir ghabra gae phir yaqin hum ne tumhaara kar liya sar pe tufan ne uthaya hai use jis ne sahil se kinara kar liya dushmani mein jhuk gai us ki kamar aasman ne kya hamara kar liya bin sahaare dubna mushkil tha 'soz' na-khudaon ko sahaara kar liya