har nai rut mein naya hota hai manzar mera ek paikar mein kahan qaid hai paikar mera main kahan jaun ki pahchan sake koi mujhe ajnabi man ke chalta hai mujhe ghar mera jaise dushman hi nahin koi mera apne siwa laut aata hai meri samt hi patthar mera jo bhi aata hai wahi dil mein sama jata hai kitne dariyaon ka pyasa hai samundar mera tu wo mahtab taken rah ujale teri main wo suraj ki andhera hai muqaddar mera