har qadam khaega thokar na dikhai dega aankh ho band to patthar na dikhai dega dhundhta kya hai koi ghar na dikhai dega shahar diwar ka hai dar na dikhai dega qafila sham ka guzra hai yahan se ho kar gard hi gard hai manzar na dikhai dega dekhna hai to utarna hi padega dil mein dur se gham ka samundar na dikhai dega shahar kei aab-o-hawa itni na masmum karo warna dhundoge kabutar na dikhai dega kuch kar jaana sar-e-sham yahan se warna qatl ho jaoge khanjar na dikhai dega bhid mil jaegi har rah mein har manzil par kah sako tum jise rahbar na dikhai dega jhuk gae hain sabhi darbar mein khilat ke liye dar par koi sukhnawar na dikhai dega raat-din karte raho apne lahu se sairab khet dil ka koi banjar na dikhai dega jab utar jaega shohrat ka nasha aankhon mein phir koi apne barabar na dikhai dega dhundhta kis ko hai dastar-e-sadaqat le kar jism mil jaenge ek sar na dikhai dega ek din dekhna ai yar teri mahfil mein sab nazar aaenge 'ashhar' na dikhai dega