har talkh haqiqat ka izhaar bhi karna hai duniya mein mohabbat ka parchaar bhi karna hai be-khwabi-e-paiham se bezar bhi karna hai basti ko kisi surat bedar bhi karna hai dushman ke nishane par kab tak yunhi baithenge khud ko bhi bachana hai aur war bhi karna hai shaffaf bhi rakhna hai gulshan ki fazaon ko har barg-e-gul-e-tar ko talwar bhi karna hai kanton se ulajhne ki khwahish bhi nahin rakhte phulon se mohabbat ka izhaar bhi karna hai is jurm ki nauiyyat malum nahin kya hai inkar bhi karna hai iqrar bhi karna hai hone bhi nahin dena bohran koi paida moqif pe hamein apne israr bhi karna hai tai lamhon mein kar dalen sadiyon ka safar lekin is rah ko ai 'ruhi' hamwar bhi karna hai