har taraf majma-e-ashiqan hai tere dam ka ye sara saman hai itna maghrur kyun baghban hai ye chaman chaar din mein khizan hai ishq mein be-khabar ho gaya hun kis se puchhun mera dil kahan hai kuchh nahin sujhti sair-e-gulshan meri aankhon se wo gul nihan hai dhyan aathon-pahar hai usi ka main yahan hun mera dil wahan hai sine par rakh ke sota hun us ko us ki taswir aaram-e-jaan hai aansu bahne lage dekhte hi zulf-e-mahbub hai ya dhuan hai jaan parwana hai us pari par sham-e-sozan har ek ustukhwan hai be-murawwat hai wo bewafa hai sari mehnat meri raegan hai kya tadapte guzarte hi apne dard-e-dil mein hai lab par fughan hai hijr mein kyun nahin maut aati hae kya dagh-e-dil maraz-e-jaan hai dhundhta hun main yusuf ko apne khak mere pas-e-karwan hai jam-e-mul hath mein wo baghal mein 'bahr' apni ye qismat kahan hai