har taraf tera aaina dekha husn qudrat ka be-baha dekha apni aankhon mein wo nazar aaya hum ne jab jab bhi aaina dekha mere ehsas mein nihan hai tu khwab mein tujh ko ja-ba-ja dekha thak gai hun akele chal chal kar dil hua khush jo qafila dekha muntazir hun teri zamane se ek diya ban ke rasta dekha ishq ki intiha pe aa kar main sochti hun ki tujh mein kya dekha