har taraf ujli dhanak mausam hua hai barf barf naddi-nale hi nahin sahra bana hai barf barf ud rahe hain rui ke gale fazaon mein asir hai lahu bhi munjamid chehra hua hai barf barf ek hasina ki siyah-zulfon pe jhaala yun lage nag kala chhag ke jaise pi gaya hai barf barf muskurana aise mausam mein kahan aasan hai hont nile pad gae hain is par hawa hai barf barf barf ki chadar hai ya phir barf ka hai regzar dekhta hun jis taraf aalam hua hai barf barf jab kabhi 'hassas' barfani hawa tan par lagi yaad aai ganw ki aansu piya hai barf barf