haram ka aaina barson se dhundla bhi hai hairan bhi ek afsun-e-barahman hai ki paida bhi hai pinhan bhi na ja ai nakhuda dariya ki aahista-khirami par isi dariya mein khwabida hai mauj-e-tund jaulan bhi kamal-e-jaan-nisari ho gai hai khak parwana use iksir bhi kahte hain aur khak-e-pareshan bhi wida-e-shab bhi hai aur shama par ek bankpan bhi hai hadis-e-shauq bhi hai qissa-e-umr-e-gurezan bhi na aai yaad teri ye bhi mausam ka taghayyur tha ye kusht-e-shauq thi parwarda-ha-e-baad-o-baran bhi ye duniya hai to kya ai ham-nafas tafsir-e-gham kije wahi aadab-e-mahfil bhi wahi aadab-e-zindan bhi shua-e-mehr hai ya iltizam-e-zakhm-o-marham hai ye dagh-e-lala bhi hai shola-e-lal-e-badakhshan bhi