harf-e-tahajji sikh raha hun dariya mein main kud gaya hun mere qadam ki aahat pa kar raat jo sahmi chaunk gaya hun samne manzil aa gai lekin aage kya hai soch raha hun teri taraf ek gam badha tha ab main khud ko dhund raha hun kaun karega surat saiqal zang laga ek aaina hun manzil se hai itna talluq mil ka patthar ban ke khada hun