harim-e-dil mein utarti hain aayaten us ki lahu bhi karne laga hai tilawaten us ki qarib tha to rag-e-jaan se bhi qarib raha bichhad ke ta-ba-falak hain masafaten us ki hui hai shakh-e-dil-o-jaan pe khwahishon ki numu lahu ke phul khilaengi qurbaten us ki isi umid pe khwabon ki fasl boi hai ki kisht-e-dil mein ugengi bashaaraten us ki khayal rang hua chandni shafaq khushbu hazar rang mein dekhun main suraten us ki numu-pazir hun mujh ko na chhod ai dharti meri jadon ko abhi hain zaruraten us ki lahu to jam gaya aankhon ki putliyon mein 'shakeb' dikhaen aks bhala kya basarten us ki