hasin khwabon ki mahfil sajaana bhul gaya mile wo ranj ki main muskurana bhul gaya charaghan main ne kiya sare shahr mein lekin khud apne ghar ka andhera mitana bhul gaya kahaniyan hain bahut mere hafize mein magar jo yaad rakhna tha main wo fasana bhul gaya talash-e-zar mein main phirta raha zamane mein jo mere pas tha main wo khazana bhul gaya na jaane kaise dukhon se najat milti hai hamare ghar mein to gham aa ke jaana bhul gaya mila jo ped parinda utar gaya us par ba-waqt-e-sham jab apna thikana bhul gaya kisi ke lab pe nahin mere dard ke qisse to kya 'kamal' mujhe ye zamana bhul gaya