hath se haihat kya jata raha marne jine ka maza jata raha zindagi ka aasra jata raha hae jine ka maza jata raha le gaya sarmaya-e-sabr-o-qarar maya-dar ab sabr ka jata raha umr bhar ki sab kamai lut gai zist ka barg-o-nawa jata raha dil agar baqi raha kis kaam ka chain dil ka ai khuda jata raha zindagani ki halawat uth gai dana-pani ka maza jata raha jo sahaara tha dam-e-darmandagi wo budhape ka asa jata raha kijiye kis baat ki ab aarzu aarzu ka muddaa jata raha gul hua apna charagh-e-arzu nur ghar ka ai khuda jata raha hae kaisa lut gaya bagh-e-murad kya shajar phula-phala jata raha roiye kya zindagani ko 'zahir' maut ka bhi ab maza jata raha