hath se napta hun dard ki gahrai ko ye naya khel mila hai meri tanhai ko tha jo sine mein charagh-e-dil-pur-khun na raha chatiye baith ke ab sabr o shakebai ko dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin kya karen aap ki is hausla-afzai ko khair badnam to pahle bhi bahut the lekin tujh se milna tha ki par lag gae ruswai ko nigah-e-naz na milte hue ghabra hum se hum mohabbat nahin kahne ke shanasai ko dil hai nairangi-e-ayyam pe hairan ab tak itni si baat bhi malum nahin bhai ko