hausle aur siwa ho gae parwanon ke shoale arman badha dete hain diwanon ke yahi aalam hai agar laghzish-e-mastana ka dher lag jaenge tute hue paimanon ke taur badla na agar ahl-e-chaman ne apna nazar aaenge manazir yahin viranon ke aah-e-mazlum agar dil se nikal jaegi khak par dher nazar aaenge aiwanon ke qissa-e-sarmad-o-mansur na chhed ai hamdam warna jazbaat bhadak uthenge diwanon ke aap mahfil mein na aate to bahut achchha tha aaj to hosh ude jate hain farzanon ke daur-e-hazir ki kashakash ka ye aalam hai ki bas hausle past hue jate hain insanon ke kya bigadegi bhala shorish-e-tufan us ka jis ne rukh mod diye barha tufanon ke dosto baaten banate ho sar-e-sahil kya aao rukh mod ke dekhen zara tufanon ke us se ummid-e-karam kya kare koi 'kashfi' kaam aata ho jo apnon ke na beganon ke