hawa chalegi to mausam nikhar hi jaega kabhi ye habs ka dariya utar hi jaega kabhi to laut ke aaoge apne mausam mein kabhi ye ishq ka nashsha utar hi jaega visal-rut jo mayassar nahin to kya gham hai tere firaq ka mausam guzar hi jaega najat paenge hum bhi kabhi dukhon se 'munir' ye zakhm-e-hijr kisi rut mein bhar hi jaega