hawa chaman ki bhala hum ko sazgar kahan bahaar nam ko hai asal mein bahaar kahan jo tum nahin the to ek lutf-e-intizar to tha tum aa gae ho to ab lutf-e-intizar kahan chaman se dur bhi dekhi hai fasl-e-gul hum ne magar wo silsila-e-naghma-e-bahaar kahan numud-e-subh hui aur ujad gai mahfil mai-e-shabana kahan ab wo mai-gusar kahan chaman ye shahr-e-nigaran bana to hai lekin meri bahaar ko chhod aai hai bahaar kahan hui hain un se uchatti si kuchh mulaqaten magar ye kaif ba-andaza-e-khumar kahan na sina chaak hai koi na ab gareban chaak gaya na jaane wo sarmaya-e-bahaar kahan ba-faiz-e-azmat-e-syan mili hai ye tauqir wagarna dar-khur-e-rahmat gunahgar kahan na wo sohbat-e-mazi na us ki yaad ai 'arsh' jo karwan hi nahin hai to phir ghubar kahan