hawa ke ruKH pe khula baadban andhere ka

hawa ke rukh pe khula baadban andhere ka
yahan pe nam nahin ab kisi sawere ka

utha ke le gaya sarwat kabhi ka hai jogi
koi suragh nahin ab usi ke phere ka

hawa-e-garm ke tapte libas mein pahron
wo saya tankta hai har shajar ghanere ka

har ek shakh se sandal ke sanp hain lipte
asar pazir nahin koi dam sapere ka

sukut wo hai ki jamid hai lamha-e-maujud
hayat khwab ho jaise kisi lutere ka

har ek sans pe dhadka hai maut ka 'abid'
ye zindagi hai ki hai ghar kisi wadere ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close