hawa se rabt zara soch kar banana tha

hawa se rabt zara soch kar banana tha
hamein zamin pe utarna tha ghar banana tha

khushi banani thi pahle kisi talluq ki
phir is khushi ko bachane ka dar banana tha

hamari aankh ko ab tak samajh nahin aai
ki pahle ashk ya pahle kohar banana tha

are ye ishq bhi to manchale ka sauda hai
hamare bas mein jo hota kidhar banana tha

hawa to roz sunati thi dhup rauzan se
magar hamein yahan suraj sa dar banana tha

suno ye aib kisi rang se nahin chhupne
bas ek hal tha hamein tod kar banana tha

muaf karna tujhe khul ke likh nahin pae
hamein ye qissa zara mukhtasar banana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close