hawaen be-‘inan hain aaj ghar se dur mat jao kaha tha na

hawaen be-‘inan hain aaj ghar se dur mat jao kaha tha na
agar jao chale jaana magar jaldi hi laut aao kaha tha na

kaha tha na ye duniya kab kisi ka sath deti hai farebi hai
kisi par mat yaqin karna zara socho qasam khao kaha tha na

kaha to tha ki bahar ke nazare khubsurat hain magar sach hai
ye sab parchhaiyan hain in se dil apna na bahlao kaha tha na

kaha ye bhi tha dushman tez hai ‘ayyar hai tarrar-o-shatir hai
tum apne hath se apne liye mat jal phailao kaha tha na

meri baaten hamesha hi tumhein yunhi si lagti hain to mat sunna
magar kuchh ho hi jae to na pachhtao na ghabrao kaha tha na

kaha sab kuchh to tha us din kahan lekin tumhein sunna gawara tha
balaon se jo bachna ho mere daman mein aa jao kaha tha na

khabar hai na pata hai na ye daman dhup se tum ko bacha lega
ki ab to meri baaton par yaqin kar lo idhar aao na pachhtao kaha tha na


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close