haweliyon mein meri tarbiyat nahin hoti to aaj sar pe tapakne ko chhat nahin hoti hamare ghar ka pata puchhne se kya hasil udasiyon ki koi shahriyat nahin hoti charagh ghar ka ho mahfil ka ho ki mandir ka hawa ke pas koi maslahat nahin hoti hamein jo khud mein simatne ka fan nahin aata to aaj aisi teri saltanat nahin hoti 'wasim' shahr mein sachchaiyon ke lab hote to aaj khabron mein sab khairiyat nahin hoti